
Humm humm humm humm humm humm humm humm
Â
Bekhayaali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Â
Teri nazdikiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye
Main jo tumse door hoon kyun door main rahoon
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon
Uh uh uh uh uh uh uh oh oh
Â
Bekhayaali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Â
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye
Hai ye tadpan hai ye uljhan
Kaise jee loon bina tere
Meri ab sab se hai anban
Bante kyun ye khuda mere
Oh oh oh humm humm humm humm
Â
Ye jo log baag hain jungle ki aag hain
Kyun aag mein jaloon
Ye nakaam pyaar mein khush hain ye haar mein
In jaisa kyun banoon
Uh uh uh uh uh uh uh uh uh uh
Â
Raatein dengi bata neendon mein teri hi baat hai
Bhooloon kaise tujhe tu to khayaalon mein saath hai
Â
Bekhayaali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Aye aye aye aye
Aa aa aa aa
Aye aye aye
Uh uh uh uh uh uh (ye sawaal aaye)
Â
Nazron ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhaara badan mein mere zeher ki tarah utar raha hai
Nazron ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhaara badan mein mere zeher ki tarah utar raha hai
Â
Aa zamaane aazma le rooth’ta nahi
Faaslon se hausla ye toot’ta nahi
Na hai wo bewafa aur na main hoon bewafa
Woh meri aadaton ki tarah chhoot’ta nahi