Aankhon mein teri ajab si, ajab si adaayein hain
Ho, aankhon mein teri ajab si, ajab si adaayein hain
Dil ko bana de jo patang, saansein yeh teri woh hawaayein hain
Â

Aayi aisi raat hai jo bahut khush-naseeb hai
Chahe jise door se duniya, woh mere qareeb hai
Â
Kitna kuch kehna hai, phir bhi hai dil mein sawaal kahin
Sapnon mein jo roz kaha hai, woh phir se kahun ya nahi?
Â
Aankhon mein teri ajab si, ajab si adaayein hain
Ho, aankhon mein teri ajab si, ajab si adaayein hain
Dil ko bana de jo patang, saansein yeh teri woh hawaayein hain
Â
Tere saath-saath aisa koi noor aaya hai
Chaand teri roshni ka halka sa ek saaya hai
Â
Teri nazron ne dil ka kiya jo hashr, asar yeh hua
Ab inmein hi doob ke ho jaaun paar, yahi hai dua