Hai Kahan Ka Irada Lyrics

Hai Kahan Ka Irada Lyrics

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi
Aaj ki…
Aaj ki baat phir nahi hogi
Aaj ki baat phir nahi hogi
Yeh mulaqat phir nahi hogi
Aise baadal to phir bhi aayenge
Aisi barsaat phir nahi hogi
Aise ba-, aise baadal to phir bhi aayenge
Aisi barsaat phir nahi hogi

 

Raat unko bhi yun hua mehsoos
Jaise yeh raat phir nahi hogi
Ek nazar mud ke dekhne waale
Kya yeh khairaat phir nahi hogi? (hogi)
Ek nazar mud ke dekhne waale
Kya yeh khairaat phir nahi hogi?

 

Shab-e-gham ki sehar nahi hoti
Shab-e-gham, shab-e-gham ki sehar nahi hoti
Shab-e-gham ki, shab-e-gham ki sehar nahi hoti
Ho bhi to mere ghar nahi hoti

 

Zindagi, zindagi, tu hi mukhtasar ho ja
Shab-e-gham mukhtasar nahi hoti

 

Raazdaaron se bach ke chalta hoon
Gham gusaaron se bach ke chalta hoon
Mujhko dhoka diya saharon ne
Mujhko dhoka diya saharon ne
Ab saharon se bach ke chalta hoon

 

Maine masoom baharon mein tumhe dekha hai
Maine masoom baharon mein tumhe dekha hai
Maine masoom baharon mein tumhe dekha hai
Maine pur-noor sitaron mein tumhe dekha hai
Mere mehboob, teri parda-nashee­ni ki qasam
Maine ashkon ki qataaron mein tumhe dekha hai

 

Hum buton se jo pyaar karte hain
Hum buton se jo pyaar karte hain
Naql-e-parvardigaar karte hain
Itni kasmein na khao ghabra kar
Jao, hum aitbaar karte hain

 

Ab bhi aa jao, kuch nahi bigda
Ab bhi hum intezaar karte hain
Ab bhi…
Ab bhi aa jao, kuch nahi bigda
Ab bhi hum intezaar karte hain

 

Saaz-e-hasti baja raha hoon main
Jashn-e-masti mana raha hoon main
Kya ada hai nisaar hone ki
Unse pehlu bacha raha hoon main
Kitni pukhta hai meri nadaani
Tujhko tujhse chhupa raha hoon main

 

Dil dubota hoon chashm-e-saaqi mein
Mai ko mai mein mila raha hoon main

 

Na hum samjhe, na tum aaye kahin se
Pasina poonchhiye apni jabeen se
Hai kahan ka iraada tumhara sanam?
Kis ke dil ko adaon se behlaoge?

 

Sach batao ke is chaandni raat mein
Kis se waada kiya hai, kahan jaoge?
Sach batao ke is chaandni raat mein
Kis se waada kiya hai, kahan jaoge?

 

Dekho, achha nahi hai tumhara chalan
Yeh jawani ke din aur yeh shaukhiyan
Yun na aaya karo baal khole hue
Varna duniya mein badnaam ho jaoge

 

Aaj jao na bechain karke mujhe
Jaan-e-jaan, dil dukhana buri baat hai
Zulf rukh se hata ke baat karo
Raat ko din bana ke baat karo

 

Maykade ke chiraag madham hain
Zara aankhein utha ke baat karo
Phool kuch chahiye huzoor humein
Tum zara muskara ke baat karo

 

Yeh bhi andaaz-e-guftagu hai koi
Jab karo, dil dukhake baat karo
Jaan-e-jaan, dil dukhana buri baat hai

 

Hum tadapte rahenge yahan raat bhar
Tum to aaraam ki neend so jaoge
Paas aao to tumko lagayein gale
Muskurate ho kyun door se dekh kar?

 

Yun hi guzre agar yeh jawani ke din
Hum bhi pachtayenge, tum bhi pachtaoge
Bewafa, be-murawwat hai unki nazar
Yeh badal jaayenge zindagi laut kar

 

Husn waalon se dil ko lagaya agar
Ae fanaa, dekho, be-maut mar jaoge

 

Hai kahan ka iraada tumhara sanam?
Kis ke dil ko adaon se behlaoge?

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x
Scroll to Top