Zaroori Tha Lyrics

Zaroori Tha Lyrics…
Zaroori Tha Lyrics by Rahat fateh Ali Khan , The Loyal studios

Lafz kitne hi tere pairon se lipte hongeTune jab aakhiri khat mera jalaaya hogaTune jab phool kitaabon se nikaale hongeDene wala bhi tujhe yaad to aaya hoga

 

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori thaMohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori thaZaroori tha ki hum donon tavaaf-e-aarzu karteMagar phir aarzuuon ka bikharna bhi zaroori thaTeri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

 

Bataao, yaad hai tumko? wo jab dil ko churaaya thaChuraai cheez ko tumne Khuda ka ghar banaaya thaWo jab kahte the, mera naam tum tasbeeh mein padhte hoMohabbat ki namaazon ko qaza karne se darte ho

 

Magar ab yaad aata hai, wo baatein thiin, mahz baatein

 

Kahiin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori thaTeri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

 

Wahi hain sooratein apni, wahi main hoon, wahi tum hoMagar khoya hua hoon main, magar tum bhi kahiin gum hoMohabbat mein dagha ki thi, so kaafir the, so kaafir hainMili hain manzilein, phir bhi musaafir the, musaafir hain

 

Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatkein, kahaan pahunche

 

Magar bhatke to yaad aaya, bhatakna bhi zaroori thaMohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori thaZaroori tha ki hum donon tavaaf-e-aarzu karteMagar phir aarzuuon ka bikharna bhi zaroori thaTeri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x
Scroll to Top