Noor-e-Khuda Lyrics
Noor-e-khuda.. ho.. ho
Noor-e-khuda
Ajnabi mod hai
Khauf har ore hai
Har nazar pe dhuan chha gaya
Pal bhar mein jaane kya kho gaya
Hmm aasmaan sard hai
Aahen bhi sard hai
Tan se saaya juda ho gaya
Hmm pal bhar mein jaane kya kho gaya
Saans ruk si gayi
Jism chil sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahan chal diya
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahaan chhupa hai humein ye bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahaan chhupa hai humein ye bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira
Noor-e-khuda
Noor-e-khuda
Ho nazrein karam farma hi de
O deen-o-dharam ko jaga hi de
O jalti hui tanhaiyaan
Roothi hui parchhaiyaan
Kaise udi ye hawa
Chhaya ye kaisa samaa
Hmm rooh jam si gayi
Waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahan chal diya..
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahaan chhupa hai humein ye bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira
Noor-e-khuda noor-e-khuda
Hmm..aa..
Ujre se lamhon ko aas teri
Zakhm dilon ko hai pyaas teri
Har dhadkan ko talaash teri
Tera milta nahin hai pata
Khaali aankhen khud se sawaal kare
Amanon ki cheekh behaal kare
Bahta lahu fariyaad kare
Tera mitta chala hai nishaan
Rooh jam si gayi
Waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahan chal diya
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahaan chhupa hai humein ye bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira
Noor-e-khuda noor-e-khuda
Aajkal tu kahaan hai ye bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Aajkal tu kahaan hai ye bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Aajkal tu kahaan hai ye bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
