Anuv Jain – Arz Kiya Hai Coke Studio Bharat

Anuv Jain – Arz Kiya Hai Coke Studio Bharat

Kaayar jo the, woh shaayar bane
Ab kya-kya karein yeh ishq mein
Na kehte the kuch jo, lage khoj mein
Kya lafz chune, naye aashiq yeh

 

Ishq mein tere hain Faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhi likha kuch tere baare mein hai

 

Aise tu lage ki gulaab hai
Aur aise tu lage ki gulaab hai
Baaghon mein dil ke khilke inn fizaaon mein chhaye ho, haaye
Aur waise hum toh tere hi ghulaam hain
Aur waise hum toh tere hi ghulaam hain
Baadshah dil ke, teri baazi mein jo tu chaahe toh

 

Doobе dilo ki kya naav banoon?
Main khud tair paaoon na aankhon mein
Shaayar ki fitrat mein hi doobna
Main kya hi ladoon toofano se

 

Ishq mеin tere hain Faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhi likha kuch tere baare mein hai

 

Haathon ko sambhale mere haathon mein
Kaise haathon ko sambhale mere haathon mein
Jab tak neend na aaye, inn lakeeron mein baatein ho, haaye

 

(Sargam Part)

Sa-re-pa-ga-re-sa, re-ga-pa-ga, pa-ni, pa-ni
Sa-re-pa-ni, pa-ga, pa-ma, ga-ma, ga-re, ga-re, sa-ni-sa
Sa-re-sa-ni-pa-ni, sa-ga-re, re-ga-pa-ni-sa-ga
Ga-re-sa-re-sa-ni, ma-dha-pa
Pa-ni-sa-ni-pa-ni, pa-ga-pa-re-re-sa
Re-ga, re-ga, ma-dha, pa-ni, pa-ni, sa-ni-dha
Sa-ni, sa-ni, pa-dha, pa-ma, ga-ma-ga

 

Haan, sab ne toh sab keh diya hai
Kya hi kahoon jo abhi bhi ankaha hai
Main, haaye, na Mirza, na Mir
Na maahir, na zaahir karoon kuch naya main
Haaye, par jo bhi likha hai, jiya hai
Haan, jiya hai
Aise, aise, aise kaise? Waise jaise

 

Jaise main padhoon mere dil mein jo
Meri aankhein bhi padhe teri aankhon ko
Kya yeh mehfil mein baithein ya uthein daud jaane ko? Haaye
Teri aankhon mein taareefon ki talaash hai
Meri mehfil tere jaane se veeraan hai
Main bas shaayar bana hoon sirf tu sun’ne aaye toh

 

Shaayad shaayar bana hoon
Sirf tu sun’ne aaye toh

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x
Scroll to Top