Arijit Singh – Duniya Alag Lyrics
Tumse hi meri kahaani
Pehchaan jaise puraani
Hoon saath main, tum saathiya
Tha galat apna yun milna
Kyun galat lagta hai dil na
Ho galtiyaan, chingaariyaan
Main aag, tum ho daaman
Tum raag ho, main saavan
Main jahaan rahoon, ho tera woh jahaan
Duniya alag meri tumhaari
Ik hui raah ab hamaari
Ek chaand tu, main raat ki daastaan hoon
Kisne chaah ko hawa di
Ye aag kyun jalaa di
Ek chaand, main raat ki daastaan hoon
Hm, sang rehte the jo, yeh kehte the woh
Mohabbat na ho jaaye humko kabhi
Jo ho jaaye to, wahi chhod do
Woh raahen na jinka ho haasil kahin
Tha tumne chhua, lagi thi duaa
Hua jo asar woh humpe raha
Jo kal tha kabhi, wahi aaj hai
Safar mein to hain par manzil nahin
Woh saath tha ghadi bhar
Hai zindagi badi par
Milna likha tha apna hi yahaan
Duniya alag meri tumhaari
Ik hui raah ab hamaari
Ek chaand tu, main raat ki daastaan hoon
Kisne chaah ko hawa di
Ye aag kyun jalaa di
Ek chaand, main raat ki daastaan hoon
O-o, yun khaak se uthakar
Humein ishq ne banaaya
Badli hawa, naya sab ho gaya
Yun khaak se uthakar
Humein ishq ne banaaya
Badli hawa, naya sab ho gaya
Duniya alag meri tumhaari
Ik hui raah ab hamaari
Ek chaand tu, main raat ki daastaan hoon
