Adhoori si yaadein meri Adhoori fariyaadein meri
Adhoora hai ghar, adhoora shehar, Adhoori woh baatein meri
Adhoore hain hum tum is duniya mein,
Bas poore hain yaadon mein hi
Bas poora hai gam dil ke hisse mein, Yeh kisse kitaab sahi
Â
Umeedon ka daaman bhi chhoota ab Khud se kam apno se toota main,
Bina tere laage rootha jag Rehna isi mein chahe jhootha jag
Â
Manzar woh nazar se guzarte hain
Gamzada teri ham zad mein hain
Uljhe sawaal ka main mauzu sa
Bigde haalaat, farak na 100 roothe ab
Â
Mehez ek daastaan bachi hai
Tujhse zyaada mujhko teri rooh sagi hai
Chhoo saki jo is kadar na ab talak
Dhoondhta main har ghadi mein har taraf
Â
Khush rahe woh har dafa yeh dar par lab hai fikr se
Aashna hum daastaan mein ghul milenge itr se
Sir chadhi woh tashnagi afsurdagi hi fir base
Zaar zaar ashk kyunki zakhm gehre tifl ke
Â
Adhoori si yaadein meri, Adhoori fariyaadein meri
Adhoora hai ghar, adhoora shehar, adhoori woh baatein meri
Adhoore hain hum tum is duniya mein, bas poore hain yaadon mein hi
Bas poora hai gham dil ke hisse mein, yeh kisse kitaab sahi
Â
Aadat usse aakar hai jaane ki Woh ja chuka khabar yeh zamaane ki Soona sab zindagi bahaane si Lekar tohfe aadat hai gawaane ki
Doobta main tinka hai sahaara Naaraazgi ko tha thame na kinaara Tarannum pe likhta hoon nazaara
Jab se hain toote sitaaron se chamke Jag se saboot hai wajood hai sanam se Marham kya kafan ko dafan jo nazam mein Mar ham liye hi soch kar marham ke azm se
Bunte radeefein tu sun toh sahi se Aazad hain hum naam se par khaarij bari se Daastaan woh sunkar bane tere hi wakeel se Yeh faisla na aakhiri hai baaqi kuch daleelein
Hijr ki un aandhiyon mein diye tere naam ke Shukr hai jo likhta main haan likhte bezubaan bhi Likhta main ab tujhmein bhi hai khushboo-e-qalam ki Anjaana yeh chehra chahe teri ho salaamati
Yahin hoon kahin dekh raaste mein mubtila Haar ke ek aap se bas aas se tha gulsitan Ba-daag mein bezaar sa sawaar hoon ek sarfira Sab waar ke sanwaar de kyun gamzada hai daag chehra
Jo karegi aankh band milunga haazir wahin parSahi se hoon main woh jo gayi hai aankh nam hoti na zaahir ab maahir is fan se hoon main Na banegi baat ab phir bhi charaagon ko maalikMain waahid sa hoon Bina sahaare yeh jaat ab main baagi sa raahon mein hoon
Chhod ke mujhe raaste mein gayi abhi bhi saath hai Todte mujhe khaas naraaz the abhi raaz hain Soch ke usse kyun paalte jo jaal se malaal dein Zawaal mein bahaar yeh kamaal hai janaab se
Baat hai uski jo hai aur nahi bhi Mujhmein woh baaqi hai banjar zameen nahi Aankhon mein rehti woh aati nazar nahi Saath hokar bhi thi woh manzarkashi si
Diya maine haath na jiya main tha haal mein Zehni woh taraash jo dikhti har sawaal mein Malaal ka guroor se sawaal yeh hazaar Qalbi yeh jo chot kyun bikti hai baazaar mein
Gairon mein raahat qaayam woh raabta Mulawwis hassas mayassar woh raazdaan Raasta saadhta mezaan se jo qurbat ko Zulmat posheeda han wahi bana khwaab sa
Tohfa-e-syaahi qalam naram kare murda dil Zor-e-harf pare kafas muntazir Kahkashan ka noor leke phirti hai khimaar mein Khumaar mein hu janta maanoosi mein mustamil
Mutamayeeni haath the na sar pe saare zar sawaar Khabardaar sabar yaar zehen qabar paar Laqabdaar kehte jo bhi karte saare sharamsaar Aamozish yeh aamil ki aazmaate hain waqaar
Adhoori si yaadein meri Adhoori fariyaadein meri Adhoora hai ghar, adhoora shehar, adhoori woh baatein meri
Adhoore hain hum tum is duniya mein Bas poore hain yaadon mein hi Bas poora hai gam dil ke hisse mein Yeh kisse kitaabi sahi
